Skip to main content

Shukravaar [FRIDAY]

Kahte hain 'Shukta hai Shukravaar hai.'
Shukravaar ki ahmiyat jeevan mein achanak hi saans lene se jyaada ho gayi thi. Panch-divasiya karyashala ki samapti ke intezaar ka, dukhti aankhon ko sheetalta pradaan karne ka sunahra avsar hota hai ye shukravaar. AMRIT tulya mithas se bhara khushion ke dwar ke chabi le ke aata hai ye shukravaar. Manas ke vyaayam ki samapti ke suchak se kam nahi hai ye wafaadar jo har saptaah aakar mann ko aseem sukoon pradaan karta hai. Saath hi bhag-daud shuru hoti hai ticket-hunting ki. Doston ke saath ek achhi movie dekhna aur college ke masti bhare dino ki yaad tazaa ho uthti hai.
Aaj phir shukravaar hai aur pichley kai hafton..maheenon ki vyastat-ta ke baad apne doston se milne ki soch se hi man harshit ho utha hai. Intezaar hai kal ka jab kaafi samay baad mulakat hogi purane doston se jinke saath college ke 4 saal rangeen the. Tab tak, broadband ke saath downloading pleasure.

Comments

Popular posts from this blog

Main Ek..

Kitne Galiyare, har galiyare mein insaan anek, Jeevan mein har pal daudte manujon me mein bhi ek! Kya hai abhilasha, iska bhan nahi kisi ko, Nishabd daudte sabhi, sang dauda mein bhi ek! Sadak par daudti bason ke peeche daude anek, Pakad mein aa jaye to utarne ki chinta mein aage badhta mein ek! Katarbaddh hokar bhojan ka intezaar karte padhe likhe anek, Unhin ke saath cafe ki line mein laga mein bhi ek! Kitna samay hua jab socha tha chahat kis chidia ka naam hai, Har beette pal ke saathg unhin ki tarah hota ja raha mein bhi ek! Kabhi nahi ehsaas hua chahat kitni bemani ho gai hai is daud mein, Phir bhi laga daudne sabke saath mein bhi ek! Mann hai kisi ke anchal mein chip jaun mein ek, Jeevan mein har pal daudte manujon me mein bhi ek!

Aur Koi..

कोई प्यार की हद बनाता रह गया, और कोई बेहद प्यार कर गया । कोई सब पाकर भी अधूरा रह गया, और कोई सब खोकर भी पूरा हो गया ।  कोई तन्हाई की वजह ढूंढता रह गया, और कोई तन्हाई में एक जीवन जी गया। ------------------------------------------ अलविदा इस रिश्ते की नियति थी शुरुआत से तो क्यूँ  दिल दुखता है दूर जाने की बात से ------------------------------------------

Utkarsh

Mere Jeevan ka ye ek naveen utkarsh hai.. Khaas hone ka wo ehsaas jo aaj se kuch saal pahle hota tha Aaj phir ek baar usi ki anubhuti hui hai Khushi ka sparsh kitna meetha ho sakta hai, iska andaaza hua hai. Pichle dino ye sochne ka samay nahi mila, kunn nahi mila.. Man lagakar kaam mein laga hua tha nit naye aayam paane mein Soch thi ki apne 'superior' ko gauravanvit karna hai Par 2.5 saal baad yehi paya ki aakaon ke upbhoog ki vastu banta gaya hunn Tay kiya ki andaazaa lagaun ki kahan pahuncha hunn mein Aur nikal pada dilli ki barkha ke beech man me kai sawaal liye Barish ki fisalti fuharon ke beech ja suvere-suvere Ghar se nikala to bahut duvidhayen thi man mein Sawaal tha ki kya 2.5 saal baal khasiyat badhi hai ya phir Kai aur logon ki tarah mein bhi gart mein dhansta gaya hunn Jaise jaise din dhala, khushi aur khas hone ki anubhuti hui Tasalli thi ki mein aaj bhi BITSian kahlane ki patra-ta rakhta hunn Khud ko kasauti par khara saabit kar jo sukhad ehsaas mila Use kinhi sh...