Skip to main content

Utkarsh

Mere Jeevan ka ye ek naveen utkarsh hai..
Khaas hone ka wo ehsaas jo aaj se kuch saal pahle hota tha
Aaj phir ek baar usi ki anubhuti hui hai
Khushi ka sparsh kitna meetha ho sakta hai, iska andaaza hua hai.

Pichle dino ye sochne ka samay nahi mila, kunn nahi mila..
Man lagakar kaam mein laga hua tha nit naye aayam paane mein
Soch thi ki apne 'superior' ko gauravanvit karna hai
Par 2.5 saal baad yehi paya ki aakaon ke upbhoog ki vastu banta gaya hunn

Tay kiya ki andaazaa lagaun ki kahan pahuncha hunn mein
Aur nikal pada dilli ki barkha ke beech man me kai sawaal liye

Barish ki fisalti fuharon ke beech ja suvere-suvere
Ghar se nikala to bahut duvidhayen thi man mein
Sawaal tha ki kya 2.5 saal baal khasiyat badhi hai ya phir
Kai aur logon ki tarah mein bhi gart mein dhansta gaya hunn

Jaise jaise din dhala, khushi aur khas hone ki anubhuti hui
Tasalli thi ki mein aaj bhi BITSian kahlane ki patra-ta rakhta hunn
Khud ko kasauti par khara saabit kar jo sukhad ehsaas mila
Use kinhi shabdon mein pirona asambhav hai
Is ehsaah ko to sirf mehsoos kiya ja sakta hai.........

Comments

Popular posts from this blog

Main Ek..

Kitne Galiyare, har galiyare mein insaan anek, Jeevan mein har pal daudte manujon me mein bhi ek! Kya hai abhilasha, iska bhan nahi kisi ko, Nishabd daudte sabhi, sang dauda mein bhi ek! Sadak par daudti bason ke peeche daude anek, Pakad mein aa jaye to utarne ki chinta mein aage badhta mein ek! Katarbaddh hokar bhojan ka intezaar karte padhe likhe anek, Unhin ke saath cafe ki line mein laga mein bhi ek! Kitna samay hua jab socha tha chahat kis chidia ka naam hai, Har beette pal ke saathg unhin ki tarah hota ja raha mein bhi ek! Kabhi nahi ehsaas hua chahat kitni bemani ho gai hai is daud mein, Phir bhi laga daudne sabke saath mein bhi ek! Mann hai kisi ke anchal mein chip jaun mein ek, Jeevan mein har pal daudte manujon me mein bhi ek!

Aur Koi..

कोई प्यार की हद बनाता रह गया, और कोई बेहद प्यार कर गया । कोई सब पाकर भी अधूरा रह गया, और कोई सब खोकर भी पूरा हो गया ।  कोई तन्हाई की वजह ढूंढता रह गया, और कोई तन्हाई में एक जीवन जी गया। ------------------------------------------ अलविदा इस रिश्ते की नियति थी शुरुआत से तो क्यूँ  दिल दुखता है दूर जाने की बात से ------------------------------------------