Skip to main content

GALIYARE

Vishwa sundari se lekar abhinetri tak hamsafar hain ye
RED CARPET kahlate ye galiyare
No. 1 ki is daud mein chaal bahut khaas hai
Hans hona jaroori nahi, chaal aana No.1 ka abhaas hai

Galiyare aur bhi kai hain
Unmein aham hai satta paksh ke galiyare
Chanla shaan se unpar sabhi ko bhata hai
Kaam na karna pade, ye kise satata hai

Gira pull, dabi train, Kyaa karen ab bhai
Chalo sabse pahle engineers ki jaye lagai
Kiya barkhast Sr. engg, Sub Engg. ko
tajjub hai ye dono kabhi gaye na the mauke-e-durghatna pe

Sarkari karmchari kis din wafadari nibhayenge,
Isi din to kaam ayenge.
kyaa karein, yahi to niyam hai
Daman apna rahe paak saaf,
karo phir jise marji barkhast.
Koi mai-ka-laal kuch na kah payega
Sar jhukakar, hukum bajane chala jayega.

Hamesha sar-maur raha hai, bana rahega
Jane kitna kachra apne neeche chipayega ye Galiyara
Hamesha dhake raha hai, chipata rageta
Jo bhi naam de lo, mook bana hai ye Galiyara.

Comments

Popular posts from this blog

Main Ek..

Kitne Galiyare, har galiyare mein insaan anek, Jeevan mein har pal daudte manujon me mein bhi ek! Kya hai abhilasha, iska bhan nahi kisi ko, Nishabd daudte sabhi, sang dauda mein bhi ek! Sadak par daudti bason ke peeche daude anek, Pakad mein aa jaye to utarne ki chinta mein aage badhta mein ek! Katarbaddh hokar bhojan ka intezaar karte padhe likhe anek, Unhin ke saath cafe ki line mein laga mein bhi ek! Kitna samay hua jab socha tha chahat kis chidia ka naam hai, Har beette pal ke saathg unhin ki tarah hota ja raha mein bhi ek! Kabhi nahi ehsaas hua chahat kitni bemani ho gai hai is daud mein, Phir bhi laga daudne sabke saath mein bhi ek! Mann hai kisi ke anchal mein chip jaun mein ek, Jeevan mein har pal daudte manujon me mein bhi ek!

Aur Koi..

कोई प्यार की हद बनाता रह गया, और कोई बेहद प्यार कर गया । कोई सब पाकर भी अधूरा रह गया, और कोई सब खोकर भी पूरा हो गया ।  कोई तन्हाई की वजह ढूंढता रह गया, और कोई तन्हाई में एक जीवन जी गया। ------------------------------------------ अलविदा इस रिश्ते की नियति थी शुरुआत से तो क्यूँ  दिल दुखता है दूर जाने की बात से ------------------------------------------

Dilli Ki Sardi

TADPAYE TARSAYE RE DILLI KI SARDI Ek kalpanik anubhuti ki abhivyakti Raat ke barah baje jab ek naye din ka agaaz ho raha tha, Dilli ki sardi ki badan se rumaniyat badhti jaa rahi thi. Sardi itni ki tapte jism pe rakha paara bhi pighalne se inkaar kar de. Binaa gloves angulian jakad chuki thin, Dil dhadakne mein michauli kar raha tha. Har beetta pal ummeed ke sahare tha, is raah ko paar kar jane ki. Bus-Auto to band the aaj(Delhi-UP Bus issue), par mere liye nikalna jaroori tha. Kisi manjil ko mera intezaar tha aur lautne mein raat kaafi ho chuki thi. Bike 80 ki gati se sunsaan sadak par daud rahi thi. Gati kam karne ki haaton mein jaan nahi bachi the, sab kuch mano jam gaya tha. Himadri pe giri barf ki sheetalta dilli ki fizaa mein samahit ho chuki thi. Dimag ki aur rakt-pravaah rukk hi gaya tha. Koi lakshya nahi, koi manas nahi, bas swachalit vaahan aur us par sawar do insaan...jinki nason mein rakh pravaah tham chuka tha. Saans sirf isi ummeed mein chal rahi thi ki shaayad bike jald...