Aaj ek lambe antraal ke baad kanon mein 'rastra gaan' ki dhun padi. Aisa prateet hua mano pal bhar ko badan mein sirhan daud gai ho. 'Om' ki dhvani ki bhanti gunjayman rastra-gaan badan mein josh jagaa gaya.
Saath hi prarambh hua ek naye vichaar ka. Vichaar sarthakta ka, upyukt-ta ka. Kya isi tathakathit 'rat-race' ke liye humne swatantrata payi thi, isi andhe samaaj ko pane ke liye bharat mata ne desh mein kranti ka srijan karne ki anumati di thi? Is amanushta se achha to us samay hota atyachaar tha, kam se kam atyachari apne to na the. Aaj to apne log hi apno ka sansaar ujad rahe hain. Kya kusoor tha 'nithari'(noida- children killing) ke masoom bachhon ka.
Chahunaur ek hi shor hai, bhartiya vanijya nayi uchaion ko chu raha hai, par manuj ka kya, wo to nirantar avnati ke path par shatabdi gati se badh raha hai. Uski aur kunn kisi ka dhyan nahi jaa raha.
Shayad is bhag daud mein kisi ko samay hi nahi hai. Rashtra gaan ki bhav-purit dhun pe thirke wo mann kaha hai, phulon ki mahak par nache mann mayura wo hriday kahan hai. Kunn nahi dikhti wo aankhen jinme LCD monitor ki lalai ki jagah jheel si gahrai ho, kunn nahi nazar aati wo bala jise dekh kar hriday mein nai umang ka sanchaar ho.
Ummeed sabhi ko hai ek savera hoga jahan ye sabhi milega, bas intezaar hai to is kal-raatri ki samapti ka.
Jan Man Gan Adhinayak Jai hai,
Jay hai bharat bhagya vidhaata.
Comments