Amar rashtra, unmukt rashtra, ud-dand rashtra; yeh meri boli.
Yeh sudhar samjhote wali mujhko bhati nahi aisee thitholi!!
Mahakavi Makhan Lal Chaturvedi dwara likhit ye panktiyan, swrajya kaal ki protsahit karne wali panktiyon mein se thin. Aaj swrajya ki sansthapna hue 57ven varsh hone par bhi kitni satya hain ye panktiyan, visheshtah dusri line.
Aaj kitna swatantra hunn mein, kitna azaad? Is prashn ka uttar dena shaayad abhi asaan nahi hai, par kuch batein jo purntah satya hai wo to likh hi sakta hunn.
Is daud mein, jisme inaam-prateek anishchit hai, mein apne jaise kai saathion ke saath daud raha hun. Sabka lakshya, agyaat, aavran-baddh, abhikalpit, apurna evam asanvedniya. Kisi ka lakshya mgmt business objective ki chinta, to koi pada hai saal bhar ke liye milne wali pagaar vruddthi mein. Kisi ke liye product ki release jindagi se jyada aham ho rakhi hai, to koi bhaag raha shaadi mein padne se.
Hum sabhi mein ek baat jo samaan hai, wo yeh hai ki sabhi apni vartmaan jindagi se khush nahi hain, par saath hi apne lakshya se bhi anjaan hai. Isiliye jo haath mein hai uski keemat nahi aank paa rahe hain, jo haath mein nahi hai uski keemat ke anumaan matra se hi man prafullit kar baithte hain.
Mein koi nahi hun kisi ko sahi ya galat aankne wala, par swarajya ke itne saalon baad yehi mann mein aata hai, kya isi ke liye hum azaad hona chahte the. Jawaab? Haan. Hamen yahi chahiye tha. Yahi andhi daud, jisme hum apna sarvaswa daanv par lagaakar daud rahe hain. Kya payenge koi nahi janta, kya harenge ye sochne ka samay nahi hai. Subah 8 baje jo din bhagna shuru hota hai wo seedhe raat ki neend ke samay hi kabu mein aata hai, mahaj chand ghanto ke liye. Phir wohi raftaar bhari jindagi chalu. Rukna manaa hai, kahi saath wala aage nikal gaya to? Par ye kunn nahi samajhte ki wo aisaa kyaa paa lega jo tum gawaan baihoge. Kisliye bhag rahe ho. Samay mile to sochna jaroor, kya jiske liye tum bhag rahe ho, wakai mein tum wohi paana chahte the. Agar haan, to naye josh ke saath jutt jane ka samay hai, warna atm-manthan ka ati-uttam samay hai. Socho........
Comments