Skip to main content

Posts

Showing posts from 2007

ehsaas...

वो दिन अब बस  याद हैं जब आसमान  में सप्तऋषि ढूंढ कर खिलखिला पड़ते थे अरसा हुआ जब आसमान में तारों को टिम टिमाते हुए गौर से देखा था हमने वो सूर्योदय की आभा, सूर्यास्त की लालिमा, और चन्द्रमा की अठखेलियाँ करती चांदनी एक बारगी सोचना पड़ता है की सब शब्द कैसे दिखते होंगे हकीक़त में आसमान में कभी भरपूर समय होता था मनचाही हरकतें करने का पर अब प्रकृति की मासूम हरकतें महसूस करने की फुर्सत कहाँ हैं वो मस्त होकर बारिश में भीगना, बहते पानी में छप-छप करके चलना कहाँ गया सर्दी में रज़ाई में छिपकर गर्म मूंगफली चबाना अब तो दिन का उदय होता है AC बस  में अपने colleagues को मरहबा करके और अस्त होता है घनघोर अँधेरे में उसी AC बस से उतरने में मन करता है की काश जीवन चन्द्रमा की होता, हर रोज़ स्वरुप बदलता पर शायद जीवन सूर्य का प्रतिरूप है, सदा एक जैसी तीव्रता से प्रकाशमान जीवन इसी का नाम है, तो चलो बिस्तर पकड़ें, सुबह ८ की बस इंतज़ार कर रही है --- Wo din ab bas yaad hain jab asman mein 'saptrishi' dhoondh khilkhila padte the Arsa hua jab asmaan mein taron ko tim-timate hue gau...

Baki naa rahe

हाथों में जाम, एक हसीं शाम, छलकता प्याला, और सामने हुश्न का बेशकीमती नगमा। उस अनामिका अप्सरा के नाम कुछ पंक्तियाँ अर्ज़ हैं: अब ये अक्स अनजान नहीं रहा उसका नाम भी है और एक चेहरा भी बहुत ही मद्धम है उसका एहसास इन आँखों में डूबने की इजाजत दे दे मुझे कि ख्वाइश मेरी कहीं अधूरी न रहे इन लबों का एक स्पर्श मिल जाये तो जीवन में फरमाइश कोई बाकि न रहे अभिलाषा है तुझे देखा करें हम दिन रात दूरी की हमारे बीच कोई गुंजाईश न रहे इस शाम को यादगार कर दे, आजा इतने करीब कि नज़दीकी की कोई हद बाकि न रहे तेरे मासूम लबों की सरसराहट ने मानो जैसे मार ही डाला है मुझे एक बार टूट कर बाँहों में भर ले कि इंतज़ार की ज़रूरत बाकि न रहे इस कायनात की सारी खूबी समायी है तेरे सूरत में एक बार पलकों से छू ले की दिल की ख्वाइश पूरी हो जाये लग जा गले ऐ हमदम की मिलने की महक सदा दिल में महकती रहे इस शाम, छू ले लब मेरे कि इस शाम में कसक कोई बाकी न रहे --- Hathon mein jamm, ek haseen shaam, chalakta pyala, aur samne husn ka beshkeemti nagma.. us anamika apsara ke naam kuch panktian arz hain.. Ab ye aks ...

pal har pal...

जीवन कितनी तेज़ी से बदलता जा रहा है पल हर पल उंगलिओं से फिसलता जा रहा है कल ही की तो बात है जब स्कूल में प्रियंका Ms World nominee है ये पता चला था मन ख़ुशी से उछल बल्लियों हो गया था जब वो Ms World बन गई हमने ये सुना था बात करते थे, लाइफ हो तो ऐसी जीवन में आये हो तो कुछ कर के जाओ २१ की उम्र में कहो न प्यार है के ह्रितिक जैसी कुछ fame  पाओ तब 'youth icon' contests की जरुरत ही न होती थी सचिन की ये कुर्सी हमेशा फिक्स होती थी अब 'youth icon' में orkut जगह बना रहा है जीवन बड़ी तेज़ी से बदलता जा रहा है power-cut तो एक मामूली बात होती थी उन दिनों तो पर अब ये मुद्दा जीवन में एक ख़ास है वजह बस इतनी है की कल सुबह ८ की बस पकड़नी है और अभी रात के १२ बजे हैं, बिजली की न कोई अरदास है कभी 'love' मूवी hot होती थी हमारे लिए अब रात को धीमे गाने सुनने की ख्वाइश है पहले वक़्त कटता नहीं था, ये विषय प्रधान होता था अब वक़्त ही नहीं है, बस ये ही जुमला हमारी ज़ुबान होता है पल हर पल उंगलिओं से फिसलता जा रहा है जीवन कितनी तेज़ी से बदलता जा रहा है --- Jeevan kitni te...

Software Engineer..

din par din ek excel file banata ja raha hai Wo dekho ek Software engineer ja raha hai, das hazaar line ke code main error dhoond lete hain lekin, majboor dost ki ankhon ki nami dikhayi nahi deti, pc pe hazaar windows khuli hain, par dil ki khidki pe koi dastak sunayi nahi deti, satuday-sunday nahata nahi, week days ko naha raha hai, Wo dekho ek Software engineer ja raha hai, Coding karte karte pata hi nahi chala, bugs ki priority kab maa-baap se high ho gayi, kitabon main gulab rakhne wala , cigerette ke dhuyen main kho gaya, dil ki zameen se armaanon ki vidayi ho gayi, weekends pe daroo peke jo jashna mana raha hai, Wo dekho ek Software engineer ja raha hai, maze lena ho iske to pooch lo, "Salary Increment" ki party kab dila rahe ho, hansi udana ho to pooch lo, "Onsite" kab ja rahe ho? wo dekho onsite se laute team-mate ki chocolates kha raha hai, Wo dekho ek Software engineer ja raha hai, kharche badh rahe hain, baal kam ho rahe hain, KRA ki date ati nahi, Income...

Obvious...

Aaj bahut dino ke baad, phir ek baar yaad aa raha hai Wo DTC ki bus ki talaash karke railway station pahunchna Rahgiron se laba lab platform par jagah dhoondh kar datt jana Isi ummeed mein ki train aate hi sabse pahle sawaar hona hai warna pura safar yun hi masoom pairon pe atyachar karte beetega Phir din badle, thodi samajh aayi aur jeb bhi garam hone lagi Ab talaash ki jane lagi thi auto richshaw ki Pahunch kar station, general ki ticket ki jadd-o-jehad mein lagta Ticket pakar platform ki aur daud kar intezaar mein lag jata Ki kab TT mahashay ayenge aur hum unhe ek hara patta dikhayenge Patte ki mahak pakar TT ki akad naram padti aur wo hamen Sawar hone ke liye ek birth pradaan kar ke khush ho jate Waqt kaise hamari ankhon ke samne badal jata hai Kal jo hamari soch ke dayare se bhi bahut pare tha Aaj wo hamare liye 'obvious' ban gaya hai Aur, kal shayad wo hamare liye jaroorat ban jayegi Jarooratein kabhi khatam nahi htin, insaan hi paar ho jata hai Jarooraton se ladte, nayin...

Phir ek baar..

Jaavan mein phir ek baar abhilashaon ne jor marna shuru kiyaa hai Arse ke baad humne phir ek bar likhna shuru kiya hai Arambh to achha hi hai, ant ki abhi koi jaldi nahi hai mujhe Abhi to dekhna hai kitni mithas hai is lekhani ki syahi mein Shwet patra par shisham ki lekhani se syah rang ubharna hai Is jahan ke bade surmaon ko apna loha manwana hai Nayi chahat mili thi jo mujhe pilani ke 'sky lawn' mein Meri vaani ban kar gunjegi jald hi is sansaar mein ... Jaavan mein phir ek baar abhilashaon ne jor marna shuru kiyaa hai Arse ke baad humne phir ek bar likhna shuru kiya hai

Main Ek..

Kitne Galiyare, har galiyare mein insaan anek, Jeevan mein har pal daudte manujon me mein bhi ek! Kya hai abhilasha, iska bhan nahi kisi ko, Nishabd daudte sabhi, sang dauda mein bhi ek! Sadak par daudti bason ke peeche daude anek, Pakad mein aa jaye to utarne ki chinta mein aage badhta mein ek! Katarbaddh hokar bhojan ka intezaar karte padhe likhe anek, Unhin ke saath cafe ki line mein laga mein bhi ek! Kitna samay hua jab socha tha chahat kis chidia ka naam hai, Har beette pal ke saathg unhin ki tarah hota ja raha mein bhi ek! Kabhi nahi ehsaas hua chahat kitni bemani ho gai hai is daud mein, Phir bhi laga daudne sabke saath mein bhi ek! Mann hai kisi ke anchal mein chip jaun mein ek, Jeevan mein har pal daudte manujon me mein bhi ek!

Ankhon ki Nami

In ankhon ki nami ko chipaun kaise, Dard jyada hai, ise bhulaun kaise. Abhilashayen amar hoti hai insaan ki Kunn nahi puri hoti jeevan ki akansha Mrityu vijayi kun hoti hai har manus pe Is mrityulok mein kal kaise amar hai Ek chhoti si khushhal jindagi hi to chahi thi maine Kunn har pal le kar aati ek naya dard ye hai Aaj phir kaal jeevan se jeeta hai Mera abhinn mrityu ki neend mein soya hai Yam ko kunn nahi aayi daya mere asahay dost pe Kunn jal mein vileen ho gaya uska masoon tan Kya koi mai-ka-lal nahi tha wahan jo utarta Use mrit nahi, jeevit nikalne ke liye Aaj jab wo nahi, to sirf uski yaad hai Isse jyada likhne ka mujhme samarthya nahi Dil se ashrupurit shriddhanjali hai ye mere dost tu markar bhi mere liye sadaa amar rahega To kya tu is kaynaat ka hissa nahi raha Mere mann mein sadaa tera deep jalega May god rest your soul, KAPIL! :-((((((((((((((((((((((((((((((((((

Chalo Pathik....

Ai rahguzar, guzar na zana is path par Ki rahen abhi aur bhi hai Manzil ka nishan abhi nahi dikha to kyaa Dil mein arman aur bhi hain Tanik tahro, mein bhi aaunga tumhare sath Ki path naye dhundhne hain Batao ki in sankri pagdandion pe chalne me Kya saath doge mera Janna chahta hun, ye rahen kahan jakar rukti hai Suraj ki lalima kahan chipti hai Chanda ki athkhelion ko dekhna chahta hun Pana hai chandni ki kirano ko Chalo pathik, Saath chalte hai,. Kabhi badhte kabhi rukte hain. Khushion ko jutana hai hamen, Jeevan ko naya swaroop dete hain. Chalo Pathik.....

Hum...

Kani suna hua... Wo jindagi hi kya jisme pyar na ho, Wo pyar hi kya jisme yaadein na ho. Wo yaadein hi kyaa jisme tum na ho, Wo tum hi kyaa jisme hum na ho. Meri taraf se.. Jab mein aur tum bane hum, Mite jindagi ka har gum(sorrow). Aur ayein nayi khushian har kadam, Jinme ho jayen hum gumm(lost).

Chalo...

Chalo kahin durr chalte hain Jahan panchion ka kalrav ho Jharne ki rim jhim ho Prakriti ki shanti mein kho jayen Durr kahin apna ek padaav dalen Jahan man prasann ho, tan pulkit Hriday mein neveen rakt ka sanchar ho Abhilasha ka pura hona jahan bemane ho Nirarthak ho sansar ka har bhautik sukh Swarth-parmarth ki phir kise chinta hogi Hum honge apni hi masti mein mast Jeevan ko puri tarah jeekar ayenge Ullas utsav manayenge Chalo kahin durr chalen Manaswee ki duniaa mein......

DAUD..dana dan daud...

Amar rashtra, unmukt rashtra, ud-dand rashtra; yeh meri boli. Yeh sudhar samjhote wali mujhko bhati nahi aisee thitholi!! Mahakavi Makhan Lal Chaturvedi dwara likhit ye panktiyan, swrajya kaal ki protsahit karne wali panktiyon mein se thin. Aaj swrajya ki sansthapna hue 57ven varsh hone par bhi kitni satya hain ye panktiyan, visheshtah dusri line. Aaj kitna swatantra hunn mein, kitna azaad? Is prashn ka uttar dena shaayad abhi asaan nahi hai, par kuch batein jo purntah satya hai wo to likh hi sakta hunn. Is daud mein, jisme inaam-prateek anishchit hai, mein apne jaise kai saathion ke saath daud raha hun. Sabka lakshya, agyaat, aavran-baddh, abhikalpit, apurna evam asanvedniya. Kisi ka lakshya mgmt business objective ki chinta, to koi pada hai saal bhar ke liye milne wali pagaar vruddthi mein. Kisi ke liye product ki release jindagi se jyada aham ho rakhi hai, to koi bhaag raha shaadi mein padne se. Hum sabhi mein ek baat jo samaan hai, wo yeh hai ki sabhi apni vartmaan jindagi se khush...

TIRANGAA

Aaj ek lambe antraal ke baad kanon mein 'rastra gaan' ki dhun padi. Aisa prateet hua mano pal bhar ko badan mein sirhan daud gai ho. 'Om' ki dhvani ki bhanti gunjayman rastra-gaan badan mein josh jagaa gaya. Saath hi prarambh hua ek naye vichaar ka. Vichaar sarthakta ka, upyukt-ta ka. Kya isi tathakathit 'rat-race' ke liye humne swatantrata payi thi, isi andhe samaaj ko pane ke liye bharat mata ne desh mein kranti ka srijan karne ki anumati di thi? Is amanushta se achha to us samay hota atyachaar tha, kam se kam atyachari apne to na the. Aaj to apne log hi apno ka sansaar ujad rahe hain. Kya kusoor tha 'nithari'(noida- children killing) ke masoom bachhon ka. Chahunaur ek hi shor hai, bhartiya vanijya nayi uchaion ko chu raha hai, par manuj ka kya, wo to nirantar avnati ke path par shatabdi gati se badh raha hai. Uski aur kunn kisi ka dhyan nahi jaa raha. Shayad is bhag daud mein kisi ko samay hi nahi hai. Rashtra gaan ki bhav-purit dhun pe thirke wo mann...

Alp-Viraam

Poornata paane ki is abhilasha mein Jeevann ki pagdandion pe daudte hue Ek mukam hasil karne ke nazdeek Aa paunchi hain aaj abhilashayen Ab kuch dhundhlapan samaa gaya hai In ankhon ke durr drishti mein Kareeb is mann ke aaj hai Alp viraap lene ki avashyakta Mein abhi is safar ko nahi rok sata Tai kaine hain lambe fasle Chalkar inhi durgam raston par Thak gaya hunn pichli yaatra se Samapt karna chahta hunn Purn viraam lagne ki sambhavna Isi hetu, Khud ko kinkartavya-vimudhta se Durr hi rakhna jaroori hai Vichar hai, is manas ko vishram dekar Ek nayi manjil ke liye taiyar karne ka Jaroorat hai jeevan mein is samay Ek alp viraam lene ki.