Skip to main content

Ankhon ki Nami

In ankhon ki nami ko chipaun kaise,
Dard jyada hai, ise bhulaun kaise.

Abhilashayen amar hoti hai insaan ki
Kunn nahi puri hoti jeevan ki akansha
Mrityu vijayi kun hoti hai har manus pe
Is mrityulok mein kal kaise amar hai

Ek chhoti si khushhal jindagi hi to chahi thi maine
Kunn har pal le kar aati ek naya dard ye hai
Aaj phir kaal jeevan se jeeta hai
Mera abhinn mrityu ki neend mein soya hai

Yam ko kunn nahi aayi daya mere asahay dost pe
Kunn jal mein vileen ho gaya uska masoon tan
Kya koi mai-ka-lal nahi tha wahan jo utarta
Use mrit nahi, jeevit nikalne ke liye

Aaj jab wo nahi, to sirf uski yaad hai
Isse jyada likhne ka mujhme samarthya nahi
Dil se ashrupurit shriddhanjali hai ye mere dost
tu markar bhi mere liye sadaa amar rahega

To kya tu is kaynaat ka hissa nahi raha
Mere mann mein sadaa tera deep jalega

May god rest your soul, KAPIL!
:-((((((((((((((((((((((((((((((((((

Comments

Popular posts from this blog

Main Ek..

Kitne Galiyare, har galiyare mein insaan anek, Jeevan mein har pal daudte manujon me mein bhi ek! Kya hai abhilasha, iska bhan nahi kisi ko, Nishabd daudte sabhi, sang dauda mein bhi ek! Sadak par daudti bason ke peeche daude anek, Pakad mein aa jaye to utarne ki chinta mein aage badhta mein ek! Katarbaddh hokar bhojan ka intezaar karte padhe likhe anek, Unhin ke saath cafe ki line mein laga mein bhi ek! Kitna samay hua jab socha tha chahat kis chidia ka naam hai, Har beette pal ke saathg unhin ki tarah hota ja raha mein bhi ek! Kabhi nahi ehsaas hua chahat kitni bemani ho gai hai is daud mein, Phir bhi laga daudne sabke saath mein bhi ek! Mann hai kisi ke anchal mein chip jaun mein ek, Jeevan mein har pal daudte manujon me mein bhi ek!

Aur Koi..

कोई प्यार की हद बनाता रह गया, और कोई बेहद प्यार कर गया । कोई सब पाकर भी अधूरा रह गया, और कोई सब खोकर भी पूरा हो गया ।  कोई तन्हाई की वजह ढूंढता रह गया, और कोई तन्हाई में एक जीवन जी गया। ------------------------------------------ अलविदा इस रिश्ते की नियति थी शुरुआत से तो क्यूँ  दिल दुखता है दूर जाने की बात से ------------------------------------------

Utkarsh

Mere Jeevan ka ye ek naveen utkarsh hai.. Khaas hone ka wo ehsaas jo aaj se kuch saal pahle hota tha Aaj phir ek baar usi ki anubhuti hui hai Khushi ka sparsh kitna meetha ho sakta hai, iska andaaza hua hai. Pichle dino ye sochne ka samay nahi mila, kunn nahi mila.. Man lagakar kaam mein laga hua tha nit naye aayam paane mein Soch thi ki apne 'superior' ko gauravanvit karna hai Par 2.5 saal baad yehi paya ki aakaon ke upbhoog ki vastu banta gaya hunn Tay kiya ki andaazaa lagaun ki kahan pahuncha hunn mein Aur nikal pada dilli ki barkha ke beech man me kai sawaal liye Barish ki fisalti fuharon ke beech ja suvere-suvere Ghar se nikala to bahut duvidhayen thi man mein Sawaal tha ki kya 2.5 saal baal khasiyat badhi hai ya phir Kai aur logon ki tarah mein bhi gart mein dhansta gaya hunn Jaise jaise din dhala, khushi aur khas hone ki anubhuti hui Tasalli thi ki mein aaj bhi BITSian kahlane ki patra-ta rakhta hunn Khud ko kasauti par khara saabit kar jo sukhad ehsaas mila Use kinhi sh...