Aaj bahut dino ke baad, phir ek baar yaad aa raha hai
Wo DTC ki bus ki talaash karke railway station pahunchna
Rahgiron se laba lab platform par jagah dhoondh kar datt jana
Isi ummeed mein ki train aate hi sabse pahle sawaar hona hai
warna pura safar yun hi masoom pairon pe atyachar karte beetega
Phir din badle, thodi samajh aayi aur jeb bhi garam hone lagi
Ab talaash ki jane lagi thi auto richshaw ki
Pahunch kar station, general ki ticket ki jadd-o-jehad mein lagta
Ticket pakar platform ki aur daud kar intezaar mein lag jata
Ki kab TT mahashay ayenge aur hum unhe ek hara patta dikhayenge
Patte ki mahak pakar TT ki akad naram padti aur wo hamen
Sawar hone ke liye ek birth pradaan kar ke khush ho jate
Waqt kaise hamari ankhon ke samne badal jata hai
Kal jo hamari soch ke dayare se bhi bahut pare tha
Aaj wo hamare liye 'obvious' ban gaya hai
Aur, kal shayad wo hamare liye jaroorat ban jayegi
Jarooratein kabhi khatam nahi htin, insaan hi paar ho jata hai
Jarooraton se ladte, nayin uchaion ko chune ki koshish karte
Kab isi mitti mein mil jate hain pata hi nahi chalta
Bas jab tak sansein hai, tab tak daudte rah jate hain
Nayi jarooraton ko pura karne ki talaash mein....
Aur jab chale jate hain is dunia se, to log kahte hain
Ye to 'obvious' hai, jo yahan aaya hai use ek din jana hai..

Comments