Yesterday, when I was going to market for some work, one harsh reality came infront of my eyes. Just tried to blog the same. It is something we all notice, but not take care to spend 1 minute on same. So here it is
Jeevan - Ye Kaisa Sapna...
Ye jeevan kyaa hai..
Ek aag ka dariya, ya ganga ki sheetal dhara
Ek dardnak manjar, ya ek khsugavaar mukaam
Koi shaayad hi janta hai ki ye kyaa hai..
Par phir bhi jee rahe hain..
Pal pal aage badh rahe hain
Har pal karte hain naye lakshya nishchit
Soch hai mukkaddar ka mukabla karne ki
Chahat Pane ki chah mein daud rahe hain
Koi chahe girlfriend ka pyaar
Kisi ko bhai jeevan ki safalta
Sochte hain agar ye hua to baas jeeven safal
Par kunn nahi kar pate kabhi santosh
Kunn bhool jate hai ki
aaj jo hai wo kabhi chaha tha banna
Jab aaj bike hai, to car ki chahat kunn hai
Agar darwaje pe maruti hai to kunn lalchate hain
Kisi ke Corolla dekhkar
Samay badla, aakhir hui khwaishein puri..
Kismat mein RAHU meharbaan hua, ghar aai ek Corolla
Lekar shaan se nikley sadak par
Gussa padha jab fanse traffic mein, yaad aai purani maruti ki
Kitni asani se lekar nikal jate the bheed bhari raho par
Tanik asar na hota tha sadak ki bheed ka
Par aaj jab Corolla hai to khush kunn nahi hain..
Gaye the party ko, par sare samay BP high kunn raha
Jo chaha wo mila, ab to khush hone ka haq banta hai
Ghumna hua pura, bari thi ghar lautne ki..
Chal pade shaan se, Red light hui 3 minute ki.
Bahar se ek masoom ne khane ke liye kuch paise mangne chahe
Soundproof glass tha, awaaj andar na aati dekh
Masoom ne khatkhataya car ka darwaja
Use kyaa bata tha tumhari car mein laga hai ek mahanga glass
Puri shaam ka gussa utarne ka mauka mila
Bura sa muhh banate car se utare
Bachhe ke gaalon par unglion ki chaap bana di
Agar hota wo tumhare boss ke bachha, to kyaa tab bhi aisaa hi karte
Haath uthana to durr, himmat ho paati usse muh se hi mana karne ki
Par public property pe to sabka haq hota hai
Kyaa farq padta hai ki wo massom 3 din se bhookh se rota hai
Tumhara man halka ho gaye, laute jang jeet kar vapas car mein
Itni khushi to Sikander ko bhi na hoti hogi jang jeetne ki
Laga ki apna sarvasv jeet kar laute hain
Us bachhe par shaktimaan ke latest stunt ki practice ki hai
Ab ghar jayenge, sukoon se so jayenge..
Raat ko sapno mein ek naye mahal ka sapna sajayenge
Kal se lag jayenge us sapne ko pura karne mein
Wo bachha jeevan bhar 2 roti ke liye bilakhta rahega
Kisi ki bhavnatmak abhivyakti ka vishay banta rahega
Jeevan chala hai, chalta rahega
Kisi ke liye dardnak manjar,
Kisi ke liye ganga ki sheetalta bana rahega
Jeevan Chalta Rahega..

Comments
"Kisi ki bhavnatmak abhivyakti ka vishay banta rahega"
Keep up the good work
ummeed hai bhavishya mein mulakat hogi.. :-)